Janamdin roz aate hain,janamdin roz jate hain
naye din yaad rahte hain
purane bhool jate hain
jinhe tum bhool jate ho
wo yaado k sitare hain
unhe phir dyan se dekho,
bade najuk hain pyare hain
janamdin apka pehla
kahan kaise manaya tha
aur kisne,
doosre par pyar se
jhoola jholaya tha
aur uske baad mai aye
janamdin the kayi lekin
kya tumko yaad hai usdin
khilona kaun laya tha
tumahre har janamdin ne
kae sapne saware hain
kya tumne aaj se pahle
hajaron din gujare hain

tumahre ek janamdin par
kahen khereez jodi thi
muradon k liye tere
tamanna kisne todi thi
tumahre iss janamdin par
ujale hi ujale hain
tumahra dil hai matwala
dile humdum nirale hain
dekhti ek nazar tumko
jaha hotoo pe taale hain
dua tumko jo dete hain
purane saal wale hain
tumahre har janamdin par
ujale hi ujale hon
tumahre saath mai usdin
tere humdum nirale hon
magar iss bar thehro
aur mudkar dekh lo unko
jo agle saal sayad
lot k na aane wale hon
"mann" tumko rokta hai
iss jnamdin ko manane se,
purani yaad ko
jhilmil patakho mai jalane se
sabhal jao mere yoban
yahi meri badhae hai
mana lena janamdin to ,kae phir ane wale hain
janamdin roz aate hain, janamdin roz jate hain !







No comments:
Post a Comment