Friday, July 6, 2007

Sapna

sapna
Mera jeevan kitna apna
mera jeevan jaise sapna
sapna jisme rang nahi hai
koi mere sang nahi hai

ek akeli meri aankhe
ek akela mera sapna

aisa jisme mai hi mai hoon
aisa jisme intjaar hai
aisa jisme haar nahi hai
lekin isme pyar nahi hai

kash ye sapna sach na hota
kash ye apna
sach'na hota
kash mai ye sab nahi dekhta
lekin gar ye
sab na hota
jo hota
wo kab na hota
jo likhta hoon
jo karta hoon
jaisa hoon mai
ab
na hota !

2 comments:

Unknown said...

sir ji, kamal kar diya aapne. ab apki kalam ka jaadu har koi mahsoos kar payega. der aaye durust aaye. jo pratibha aap ke ander vilakh rahi thi usko ab roshani mil gayi.

Unknown said...

Marvellous!elegant and empahtic.
At the end it came out wat was in side.
Wishing u all the best.